Yeh mahalon, yeh takhton, yeh taajon ki duniya
Yeh insaan ke dushman, samajon ki duniya
Yeh daulat ke bhooke, rawajon ki duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaaye, to kya hai?
Har ek jism ghayal, har ek rooh pyaasi
Nigaahon mein uljhan dilon mein udaasi
Yeh duniya hai ya aalam-e-badhawaasi
Yeh duniya agar mil bhi jaaye, to kya hai?
Yahan ek khilona hai insaan ki hasti
Yeh basti hai murda paraston ki basti
Yahan zindagi se bhi hai maut sasti
Yeh duniya agar mil bhi jaaye, to kya hai?
Jawaani bhatakti hai badkaar bankar
Jawaan jism sajte hain baazar bankar
Yahaan pyar hota hai vyopar bankar
Yeh duniya agar mil bhi jaaye, to kya hai?
Yeh duniya jahaan aadmi kuchh nahin hai
Wafaa kuchh nahin dosti kuchh nahin hai
Jahan pyaar ki kadr hi kuchh nahin hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye, to kya hai?
Jalaa do ise fooq dalo yeh duniya
Jalaa do, jalaa do, jalaa do
Fooq dalo yeh duniya
Mere samne se hata lo yeh duniya
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaaye, to kya hai?
#Bibliofiles : 2024 favourites
2 weeks ago