Wednesday, August 17, 2011

Abhi na jao chhod kar.......

Dukh aur sukh ke raaste
baney hai sabke vaaste

jo gham se haar jaaogey
to kis tarah nibhaaogey

khushi mile hume ke gham
jo hoga baant lengey hum

mujhe tum aazmaao to
zaraa nazar milaao to

yeh jism do sahi magar
dilo mein faasla nahin
jahaan mein aisa kaun hai
ke jisko gham mila nahin

abhi na jaao chhodkar
ke dil abhi bhara nahi.....

tumhaare pyaar ki kasam
tumhaara gham hai mera gham

na yoon bujhe bujhe raho
jo dil ki baat hai kaho

jo mujhse bhi chhupaaoge
to phir kisse bataaoge

main koi gair to nahin
dilaaun kis tarah yakin
ki tum se main judaa nahin
mujhse tum judaa nahin

tum se main judaa nahin
mujhse tum judaa nahin

abhi na jaao chhodkar
ke dil abhi bhara nahin