zakhm dikhte nahin abhi lekin
thandey honge toh dard niklegaa
aish taish utrregaa waqt ka jab bhi
cheheraa andar se zard nikalegaa
kehney walon ka kuch nahin jaata
sehney waale kamaal karte hain
kaun dhoondhey jawaab dardon ke
log toh bas sawaal karte hain
kachhi mitti hai dil bhi insaan bhi
dekhne hi mein sakht lagta hai
aansoo poncheingey aansoon ke nishaan
khushk hone mein waqt lagta hai
thandey honge toh dard niklegaa
aish taish utrregaa waqt ka jab bhi
cheheraa andar se zard nikalegaa
kehney walon ka kuch nahin jaata
sehney waale kamaal karte hain
kaun dhoondhey jawaab dardon ke
log toh bas sawaal karte hain
kachhi mitti hai dil bhi insaan bhi
dekhne hi mein sakht lagta hai
aansoo poncheingey aansoon ke nishaan
khushk hone mein waqt lagta hai