Monday, December 31, 2007

Ek brahman ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai

Ek brahman ne kahaa hai ke ye saal achchhaa hai

Zulm ki raat bahut jald taleygee ab to
Aag chulhoon mein har ik roz jaleygee ab to

Bhookh ke maarey koi bachchaa nahin royega
chain ki neend har ik shaKhs yahaan soyega

Aandhi nafarat ki chaleygee na kahin ab ke baras
pyaar ki fasal ugaaeygee zameen ab ke baras

Hai yakeen ab na koi shor-sharaabaa hoga
zulm hoga na kahin Khoon-kharaabaa hoga

Os aur dhuup ke sadamein na sahegaa koi
ab mere desh mein be-ghar na rahega koi

Naye vaadon ka jo daalaa hai vo jaal achchhaa hai
Rehanumaaon ne kaha hai ke ye saal achchhaa hai

....dil ke Khush rakhane ko Ghalib ye Khayaal achchhaa hai

-- Sabir Dutt