Tuesday, February 01, 2005

maine dil se kaha, dhoondh laana khushi
na samajh laya gham, to yeh gham hi sahi

maine dil se kaha, dhoond laana khushi
na samajh laya gham, to yeh gham hi sahi
maine dil se kaha dhoond laana khushi......

bechaara kahan jaanta tha
khalish hai yeh kya khala hai
shehar bhar ki khushi se
yeh dard mera bhala hai
jashn yeh raas na aaye
mazaa toh bas gham main aaya hai


maine dil se kaha, dhoondh laana khushi
na samajh laya gham, to yeh gham hi sahi

kabhi hai ishq ka ujaala
kabhi hai maut ka andhera
bataao kaun bhes hoga
main jogi banu ya lootera
kayi chehre hai is dil ke
na jaane kaunsa mera


maine dil se kaha dhoondh laana khushi
na samajh laya gham, to yeh gham hi sahi

hazaaron aise faasley the
jo taiy karne chale the
raahe magar chal padi thi
aur peeche hum rah gaye the
kadam do chaar chal paaye
kiye phere tere mann ke

maine dil se kaha, dhoond laana khushi
na samajh laya gum, to yeh gham hi sahi

maine dil se kaha, dhoond laana khushi
na samajh laya gham, to yeh gham hi sahi...................