Monday, July 26, 2004

Today...

words are not coming....or they just can't do justice to the inner turmoil.
And help comes from Chacha Gulzar and RD boss....

Tujhse naraaz nahin zindagi hairaan hoon main...O hairaan hoon main..
Tere masoom sawaalon se pareshaan hoon main...O pareshaan hoon main..

jeene ke liye socha hi nahin, dard sambhaalne honge
muskuraayen to, muskuraane ke karz uthhane honge
muskuraaooN kabhi to lagtaa hai
jaise honTon pe karz rakhhaa hai

aaj agar bhar aai hain, boondein baras jaayengii
kal kyaa pataa inke liye aankhen taras jaayengii
jaane kab ghum hua kahaan khoya
ek aansoo chhupaake rakhaa thaa

zindagi tere gham ne hamein rishte naye samjhaaye
mile jo hamein dhoop mein mile chhaon ke thanDe saaye..

3 comments:

Anonymous said...

Hello hellboy here, well to get the mouth watering briyani. Go to Janparth starting from wimpy's subway. then go straight on road opp to jeevan bharti. then in left you would have janpath market and on right there is a small gully, ask anyone in whole CP where is Anand. well i can goide you just give me a offline message at my yahoo id hellboy_at_delhi and do visit my blog at hellfire.rediffblogs.com i also like shayari

Arunima said...

it's one of my favourite numbers too. nice lyrics n haunting music n tunes

Anonymous said...

some shayaris here


Mohabbat ko hamne zindagi ka maksad bana liya
aapne inkaar kiya to hum intezaar ka hausla rakhte hai
aap ro kar bhi gum ko halka nahi kar sakte
hum hasi ki aade mein har gum ko chupa sakte hain


woh dil he kya joo aap say mil nain ke dua nah karay
main aap ku bhol kur zindah rahon khuda nah karay

Mohabbat ke bhi kuch andaz hote hai,
jaagti ankhon may bhi khwaab hote hai,
zaroori nahi ki gham may aansu hi nikle,
muskurati aankhon may bhi sailab hote hai



Saze dil mein tarane bahut hain,
zindagi jeene ke bahane bahut hai,
aap sada muskarate rahiye,
aap ki muskrahat ke deewane bahut hai

hope u like that
u may mail me at talha_isr@yahoo.com